Aankhoon main 03/10/2009
Posted by Samia in Romantic Poetry, Urdu Poetry.Tags: Aankhoon, Dua, Ghazal, Hindi, Hum, Indian, Muhabbat, Pakistani, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu, Urdu Love Poetry, Urdu Poetry
trackback
Bas gaya maira dil un khushgawar Aankhoon main
milli jo un se nazer bana mizar Aankhoon main
Tuwaff kerti jo rehti thi Char soo Sab ka
phir na koi basa in beqarar Aankhoon main
Wo maghrabi tahzeeb main mashraqi gharan thi
yeah hi thi sharam-o-haya in hazar Aankhoon main
buhat Talash kia rah-e-wafa main yaro
milla wo na khuda un sougwar Aankhoon main
ab yeah jaan ker Ali main nahi likhta
wo jhank le na kahien in ghunahgar Aankhoon main

Well done