jump to navigation

Aaj bhi sham udass rahi 03/10/2009

Posted by Samia in Sad Poetry, Urdu Poetry.
Tags: , , , , , , , , , , , , , , , ,
trackback

Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
tere naram laboon ki shabnam
Saye se mehroom raha
Aaj bhi pather hijer ka lamha sadioon se be-khawab rutoon ko
Aankhoon ka mefhoom raha
Aaj bhi Apnay wasal ka tara
Raakh urati shokh shafaq ki manzil se mah-dhoom raha
Aaj bhi sheher main pagal dil ko
teri deed ki Aas rahi
mudat se ghum sum tanhye, Aaj bhi mairay pass rahi

“Aaj bhi Sham udass rahi”

Comments»

1. SHERAZ - 04/01/2009

wonderfull ,,,

anaginat sadiyo.n ke taariik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kam_Khvaab me.n bunavaaye huye
jaa-ba-jaa bikate huye kuuchaa-o-baazaar me.n jism
Khaak me.n litha.De huye Khuun me.n nahalaaye huye

2. Shehejaan - 04/01/2009

Hello

I like your site and poetry. Your kind of information I am a poet. After publishing my book I have published my poetry in my site “sarmaya-e-muhabbat”.

http://sarmaya-e-muhabbat.blogspot.com

3. asghar - 07/03/2009

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag me.n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai

4. ifra alam - 08/30/2009

helo! i likedur website.its amazing! n especially the romantic poetry. thnx for giving us this opportunity….4rm ifra alam pak.

5. Hassani - 09/12/2009