“Kabhi Dekha hai” 02/18/2009
Posted by Samia in Romantic Poetry, Urdu Poetry.Tags: Dhanak, Hindi, Indian, Muhabbat, Nazam, Poem, Romantic Urdu Poetry, sitaray, Urdu, Urdu Poetry
3 comments
“Kabhi Dekha hai”
Chilmun ke sitaroon ko Ankhoon main Chumktay hoye ?
“Kabhi dekha hai”
Dhanak ke rangoon ko chehray per utertay hoye?
“Hum nien Dekha hai”
Jub Jub —– Us nien maira naam liya
Jub Jub—— Mairay muhabbat nien hisaar ban ke us ko thaam liya
“Khut Main” 02/18/2009
Posted by Samia in Sad Poetry, Urdu Poetry.Tags: Hindi, Indian, Ishq, Janna, Khut, Lafzoon, Muhabbat, Nazam, Pakistani, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu Poetry
1 comment so far
Janna Tum ne apnay khut main
Thehray thehray lafzoon main
Kuch likha kuch chorde diya
yoon lagta hai lafzoon ko
Tum nien maiyni ke dur pe
laa ker wapis morde diya
“Aur phir”
Alfaaz kahan kuch keh patay hain
yeah adraak ki sakhet zameen pe
ik sarhud pe ruk jatay hain
main alfaaz nahien perty
Main to bas wo perty hoon
jo sutroon ke beech likha hai
“Mashwara” 02/18/2009
Posted by Samia in Romantic Poetry, Urdu Poetry.Tags: Ghar, Ghazal, Hindi, Indian, Lafzoon main, Mashwara, Muhabbat, Pagal, Pakistani, Romantic Urdu Poetry, Urdu, Urdu Poetry
2 comments
Us nien door rehnay ka mashwara bhi likha hai
Sath hi muhabbat ka Wasta bhi likha hai
Us ne yeah bhi likha hai ke mairay ghar nahien ana
Aur saaf lafzoon main rasta bhi likha hai
Kuch haroof likhay hain Zabet ki naseehat main
Kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai
Shukriya bhi likha hai dil se yaad kernay ka
Dil se dil ka kitna hai Fasla bhi likha hai
Teray rooth jannay se 02/18/2009
Posted by Samia in Romantic Poetry, Urdu Poetry.Tags: Bool, Hindi, Indian, Muhabbat, Musukrana, Nazam, Pakistani, Phool, Romantic Urdu Poetry, Rooth, Urdu, Urdu Poetry
1 comment so far
Teray rooth jannay se
Koi Faraq Nahien Paray ga
Phool bhi khilien gay
Taray bhi chamkien gay
Meena bhi barsay gi
Haan mager kisi ko
“Muskurana bhool jaye ga”
Durd Ka Dil Main Thikana Ho gaya 02/18/2009
Posted by Samia in Sad Poetry, Urdu Poetry.Tags: Dil main, Durd, Ghazal, Hindi, Indian, Muhabbat, Pakistani, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu Poetry
add a comment
Durd Ka Dil main thikana Ho gaya
Zindagi bhar ka tamasha ho gaya
Mubtalye Durd Hum bhi ho gaye
Unka huns dena bahana ho gaya
Bekhaber Gulshan tha mairay ishq se
Ghunchay chatkay Raaz afsha ho gaya
mah-o-anjam per nazer pernay lagi
un ko dekhay ik zamana ho gaya
Thay naaz-o-niyaaz kia kia khawab main
Khul gaien ankhien to parda ho gaya
teray jalwoon ka Aalam kia kahoon
Aik Aalam Aur paida ho gaya
Apni Ruswaye se bhar ker yeah ghum
Sath mairay tu bhi ruswa ho gaya
Durd dil main kerwatien lainay laga
Kis ki ankhoon ka ishara ho gaya
ziker-e-meh Aya jo ghulshan main jaleel
Phool Saghir Ser-o-meena Ho gaya
