Jinhien dhoondtay hain sapnoon main 12/08/2008
Posted by Samia in Sad Poetry, Urdu Poetry.Tags: Ghazal, Hindi, Indian, Muhabbat, Pakistani, Romantic Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sapnoon, Urdu, Urdu Poetry
add a comment
Jinhien dhoondtay hain sapnoon main
Wo haqeeqat main nahien hain
Jo haqeeqat main hai samnay
Wo humaray sapnoon main nahien hain
Jo Dil main hain humaray
Wo humaray qareeb nahien hain
Aur jo qareeb hain humaray
Wo humaray Dil main nahien hain
Jis se Payar kartay hain hum
Wo humaray baare main sochtay nahien hain
Jo sochte hain humaray baare main
Un se Payar hum kertay nahi hain
Hum jinka intizar kertay hain
Wo kabhi aate nahien hain
Aur jo aa jatay hain samnay
Unka intizar hum kertay nahien hain
Un hi ko Dost kehtay hain 12/08/2008
Posted by Samia in Urdu Poetry.Tags: Dost, Ghazal, Hindi, Hum, Indian, Muhabbat, Pakistani, Payar, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Saath, Sad Urdu Poetry, Urdu, Urdu Poetry
2 comments
Jo mushkil asan banatay hain
Jo dushman ko giratay hain
Jo hunstay aur hunsatay hain
Un ko bhala kiya kehtay hain?
Un hi ko dost kehtay hain
Jo jeet ki khushi manatay hain
Jo haar main sath bitatay hain
Jo phir bhi kahan jatatay hain
Un ko bhala kia kehtay hain?
Unhi ko dost kehtay hain
Jo hotay hain khazane humaray liye
Jo hotay hain saharay humaray liye
Jo payar dete hain payar lene ke liye
Un ko bhala kiya kehtay hain?
unhi ko dost kehtay hain
Jin ki qeemat pata chalti hai bhichrne k bad
Nahien khareeda ja sakta un ko paisay se yaar
Yeah hain humaray liye KHUDA ka payar
un ko bhala kiya kehtay hain?
unhi ko dost kehtay hain
